اردو हिंदी
Kya hai mere dil ki haalat waqai kaise kahun | Shaahi Shayari
kya hai mere dil ki haalat waqai kaise kahun

Ghazal

Kya hai mere dil ki haalat waqai kaise kahun

Nazim Barelvi

;

kya hai mere dil ki haalat waqai kaise kahun
kyun hai meri aankh mein itni nami kaise kahun

meri ek ek sans pe haq hai mere allah ka
main bhala is zindagi ko aap ki kaise kahun

kaun hai mera muKHalif kis ne ki hai muKHbiri
jaanta hun main bataunga abhi kaise kahun

shaeri to wardat-e-qalb ki rudad hai
qafiya-paimai ko main shaeri kaise kahun

ye jo mere ghar ke jalne se hui hai chaar-su
log kahte hain kahen main raushni kaise kahun

samne aaya to 'nazim' us ne pahchana nahin
facebook ki dosti ko dosti kaise kahun