kya hai ki aaj chalte ho katra ke rah se
dekho idhar nigah mila kar nigah se
sharm-e-jafa se chhupte ho tum dad-KHwah se
uzr-e-gunah tumhaara hai bad-tar gunah se
un ki haya o sharm ne rakkhi hai dil ki sharm
kya hoga jab nigah milegi nigah se
insaf bhi yahi hai yahi shan-e-husn bhi
han han nazar churao qatil-e-nigah se
baitus-sanam se dur nahin hai haram ki rah
kyun rah puchhen zahid-e-gum-karda-rah se
kyun shikwa hum karen adam-e-iltifat ka
wo puchhte to hain nigah-e-gah-gah se
zahid hazar haif ki pahuncha na koi faiz
rindon ke mai-kade ko teri KHanqah se
parwanon ka hujum hai shama-e-jamal par
jita phirega kaun teri jalwa-gah se
shikwa karun tumhaari jafa ka to ru-siyah
dekho na tum mujhe nigah-e-uzr-KHwah se
KHushhaali-e-raqib se wo shad shad hain
yani hain be-KHabar mere haal-e-tabah se
gardan jhuki hui hai uThate nahin hain sar
Dar hai unhen nigah laDegi nigah se
nikla na koi haif yahan qabil-e-shikar
sayyaad KHali hath phira said-gah se
har chand 'wahshat' apni ghazal thi giri hui
mahfil suKHan ki gunj uThi wah wah se
Ghazal
Kya hai ki aaj chalte ho katra ke rah se
Wahshat Raza Ali Kalkatvi