kya gharaz lakh KHudai mein hon daulat wale
un ka banda hun jo bande hain mohabbat wale
chahen gar chaara jarahat ka mohabbat wale
bechen almas o namak sang-e-jarahat wale
gae jannat mein agar soz-e-mohabbat wale
to ye jaano rahe dozaKH hi mein jannat wale
saqiya hon jo subuhi ki na aadat wale
subh-e-mahshar ko bhi uTThen na tere matwale
duKHtar-e-raz ko nahin chheDte hain matwale
hazar us fahisha se karte hain hurmat wale
rahe jun shisha-e-saat wo mukaddar donon
kabhi mil bhi gae do dil jo kudurat wale
kis maraz ki hain dawa ye lab-e-jaan-baKHsh tere
jaan-ba-lab hain tere aazar-e-mohabbat wale
hirs ke phailte hain panw ba-qadr-e-usat
tang hi rahte hain duniya mein faraghat wale
hae re hasrat-e-didar meri hae ko bhi
likhte hain ha-e-do-chashmi se kitabat wale
nahin juz shama mujawir meri baalin-e-mazar
nahin juz kasrat-e-parwana ziyarat wale
na shikayat hai karam ki na sitam ki KHwahish
dekh to hum bhi hain kya sabr o qanaat wale
kya tamasha hai ki misl-e-mah-e-nau apna farogh
jaante apni hiqarat ko hain shohrat wale
dil se kuchh kahta hun main mujh se hai kuchh kahta dil
donon ek haal mein hain ranj o musibat wale
tu gar aa jae to ai dard-e-mohabbat ki dawa
mere hamdard hon bedard fazihat wale
chhoD dete hain qalam jun qalam-e-atish-baz
meri sharh-e-tapish-e-dil ki kitabat wale
kabhi afsos hai aata kabhi rona aata
dil-e-bimar ke hain do hi ayaadat wale
tu mere haal se ghafil hai par ai ghaflat-kesh
tere andaz-e-taghaful nahin ghaflat wale
hum ne dekha hai jo us but mein nahin kah sakte
ki mubaada kahin sun paen shariat wale
naz hai gul ko nazakat pe chaman mein ai 'zauq'
us ne dekhe hi nahin naz-o-nazakat wale
Ghazal
Kya gharaz lakh KHudai mein hon daulat wale
Sheikh Ibrahim Zauq