kya gham jo falak se koi utra na sar-e-KHak
juz KHak nahin koi yahan chaara-gar-e-KHak
milti hai sharabon ki jagah gard-e-bayaban
mai-KHane ko jate hain to khulta hai dar-e-KHak
sahra ko gulistan baDe shauq se kah lo
yani shajar-e-KHak se toDo samar-e-KHak
darman-e-mohabbat hai nishan-e-kaf-e-pa bhi
aankhon se laga kar kabhi dekho asar-e-KHak
aaghosh-e-lahad pahlu-e-madar se siwa hai
kis KHauf se larzan hai tu ai be-KHabar-e-KHak
be-maqsadi-e-dahr ka mazhar hai tasahul
karne ko na ho kaam to insan kare KHak
lalach ki nazar kaun kisi shaKHs ko dekhe
aankhon ke ware KHak hai aankhon ke pare KHak
hai kaun jo phulon ki tamanna nahin rakhta
ek 'sayyad'-e-diwana ki daman mein bhare KHak
Ghazal
Kya gham jo falak se koi utra na sar-e-KHak
Muzaffar Ali Syed