kya farz hai ye jism ke zindan mein saza de
main KHak agar hun to hawaon mein uDa de
ek umr se mahsus kiye jata hun KHud ko
koi mujhe chhukar mere hone ka pata de
main jumbish-e-angusht mein mahfuz rahunga
har chand mujhe ret pe tu likh ke miTa de
ujDa hua ye peD bhi de jaega manzar
sukhi hui shaKHon main koi chand phansa de
tu jis ke tasawwur mein mila karta hai mujh se
us shaKHs se meri bhi mulaqat kara de
bahti hui is bhiD ke tufan mein 'shahid'
kis lahr ko pakDe koi aur kis ko sada de
Ghazal
Kya farz hai ye jism ke zindan mein saza de
Shahid Kabir