اردو हिंदी
Kya fash karun gham-e-nihan ko | Shaahi Shayari
kya fash karun gham-e-nihan ko

Ghazal

Kya fash karun gham-e-nihan ko

Asif-ud-Daula

;

kya fash karun gham-e-nihan ko
payan nahin meri dastan ko

qisse ko na puchho mere hargiz
yara hi nahin dil-o-zaban ko

darpai hain nasihaton ke yarab
samjhaun main kyun ke dostan ko

go hum ne silaya jeb-o-daman
kya kijiyega chashm-e-KHun-fishan ko

ho gar na wo shama-ru hi to phir
kya aag lagaun dud-man ko

guzra tha udhar se kal jo shayad
aaya tha wo mere imtihan ko

aae to abhi the mere sahab
aisi jaldi chale kahan ko

ai yaro samajh ke bolo us bin
main jaunga bagh-o-bostan ko

'asif' abhi main ne kya kaha tha
Tuk band nahin teri zaban ko