kya dukh hai samundar ko bata bhi nahin sakta
aansu ki tarah aankh tak aa bhi nahin sakta
tu chhoD raha hai to KHata is mein teri kya
har shaKHs mera sath nibha bhi nahin sakta
pyase rahe jate hain zamane ke sawalat
kis ke liye zinda hun bata bhi nahin sakta
ghar DhunD rahe hain mera raaton ke pujari
main hun ki charaghon ko bujha bhi nahin sakta
waise to ek aansu hi baha kar mujhe le jae
aise koi tufan hila bhi nahin sakta
Ghazal
Kya dukh hai samundar ko bata bhi nahin sakta
Waseem Barelvi