اردو हिंदी
Kya dua-e-farsuda harf-e-be-asar mangun | Shaahi Shayari
kya dua-e-farsuda harf-e-be-asar mangun

Ghazal

Kya dua-e-farsuda harf-e-be-asar mangun

Zaheer Ghazipuri

;

kya dua-e-farsuda harf-e-be-asar mangun
tishnagi mein jine ka ab koi hunar mangun

dhup dhup chal kar bhi jab thake na ham-rahi
kaise apni KHatir main saya-e-shajar mangun

aaina-nawazi se kuchh nahin hua hasil
KHud bane jo aaina ab wahi hunar mangun

ek taraf tassub hai ek taraf riya-kari
aisi be-panahi mein kya sukun ka ghar mangun

meri zindagi mein jo baT na jae KHanon mein
mil sake to main aisa koi baam-o-dar mangun

lamha lamha tezi se ab zamin khisakti hai
KHud safar ka aalam hai kya koi safar mangun

be-talab hi deta hai jab 'zahir' wo sab kuchh
kis liye main phir us se jins-e-mo'atabar mangun