kya DhunDte ho ab jaras-e-raftagan ki dhul
ek karwan ke sath gai karwan ki dhul
kal tak the mera qafila hum jis ke dosto
anjam-e-kar ab hain usi karwan ki dhul
madfan teri gali mein banane chale to hain
ye aandhiyan bataengi hum hain kahan ki dhul
rah mein ye kaun aabla-payan-e-shauq hain
muD muD ke dekhti hai jinhen karwan ki dhul
larzan hain baam-o-dar pe gai mahfilon ke sae
aankhon mein uD rahi hai dayar-e-butan ki dhul
kaise tumhaari pyas bujhaen musafiro
hum to hain ek chashma-e-reg-e-rawan ki dhul
daman mein kaun bandhe 'musawwir' hamein yahan
gard-e-mazar hum na kisi aastan ki dhul
Ghazal
Kya DhunDte ho ab jaras-e-raftagan ki dhul
Musavvir Sabzwari

