kya DhunDne aae ho nazar mein 
dekha hai tumhin ko umr-bhar mein 
meayar-e-jamal-o-rang-o-bu the 
wo jab tak rahe meri chashm-e-tar mein 
ab KHwab-o-KHayal ban gae ho 
ab dil mein raho, raho nazar mein 
wo rang tumhaare kaam aaya 
uDta hai jo gham ki dopahar mein 
hae ye tawil o sard raaten 
aur ek hayat-e-muKHtasar mein 
ab surat-e-haal ban gaya hun 
milta hun nigah-e-chaaragar mein 
ya aur sitare aur shabnam 
ya mar rahen daman-e-sahar mein 
ya manzil-e-mahr-o-mah bhi hai 
ya rah-e-farar hai safar mein 
wo bhi to 'zafar' se KHush nahin hain 
rahte hain jo dida-e-'zafar' mein
        Ghazal
Kya DhunDne aae ho nazar mein
Yusuf Zafar

