kya dekhte ho rah mein ruk kar yahan wahan
hai qatl-o-KHun ka ek sa manzar yahan wahan
zer-e-nagin usi ke sabhi qarya-o-dayar
us ke hi sab hain KHema-o-lashkar yahan wahan
hai darmiyan-e-KHanjar-o-sar fasle ka farq
warna saron pe hai wahi KHanjar yahan wahan
shishe ke sab makan hain shikasta idhar udhar
bikhre paDe hain shahr mein patthar yahan wahan
mahfuz rah gaya na koi rasta na moD
jaya karo na ghar se nikal kar yahan wahan
lagta hai ab ulaTne ko hai ye bisat-e-shab
sargoshiyan yahi hain barabar yahan wahan
'mohsin' ajib habs ka aalam hai aur main
koi daricha hai na koi dar yahan wahan
Ghazal
Kya dekhte ho rah mein ruk kar yahan wahan
Mohsin Zaidi