اردو हिंदी
Kya dekhte hain aap jhijak kar sharab mein | Shaahi Shayari
kya dekhte hain aap jhijak kar sharab mein

Ghazal

Kya dekhte hain aap jhijak kar sharab mein

Raunaq Tonkvi

;

kya dekhte hain aap jhijak kar sharab mein
paida hai aks-e-zulf-e-mo'ambar sharab mein

partaw-fagan hai chashm-e-fusun-gar sharab mein
kya mil gaya hai fitna-e-mahshar sharab mein

bad-mastiyon ke shauq ne tufan uThae hain
baiThe hain hum bahae hue ghar sharab mein

tar-damanon ko aatish-e-dozaKH se hai najat
jama hai shor-bor sarasar sharab mein

be-yar mauj-e-mai hai rag-e-jaan mein neshtar
ye jaan-sataniyan hain muqarrar sharab mein

kuchh qatl mein bhi chashni-e-mai zarur hai
qatil bujha ke laiyo KHanjar sharab mein

shirin-kalamiyan hain wahan waqt-e-mai-kashi
goya mila hai qand-e-mukarrar sharab mein

kahta hai rang-e-ruKH se tere jauhar-e-sharab
khilte hain husn-e-shoKH ke jauhar sharab mein

mahrum bazm-e-mai se na phir jae mohtasib
de do koi kabab Dubo kar sharab mein

'raunaq' ne un ke hath se bazm-e-raqib mein
ek KHun-e-dil piya hai mila kar sharab mein