kya daur hai ki jo bhi suKHnawar mila mujhe
gum-gashta apni zat ke andar mila mujhe
kis pyar se gaya tha teri aastin ke pas
shaKH-e-hina ki chah mein KHanjar mila mujhe
is zulmat-e-hayat mein ek lafz pyar ka
jab mil gaya to mah-e-munawwar mila mujhe
surat-garan-e-asr ka tha intizar-kash
teri rah-e-talab mein jo patthar mila mujhe
roz-e-azal se kar-gah-e-hast mein 'suhail'
dil hi gham-e-hayat ka mehwar mila mujhe
Ghazal
Kya daur hai ki jo bhi suKHnawar mila mujhe
Adeeb Suhail