kya daKHl kisi se maraz-e-ishq shifa ho
mumkin hai ki is dard ki duniya mein dawa ho
baalon ka ghuras rakhna hai pagDi hi mein behtar
kya faeda ek KHalq giraftar-e-bala ho
maghrur na rah hasti-e-mauhum pe ghafil
yan aankh jhapakte hi KHuda jaaniye kya ho
ai musht-e-ghubar-e-tan-e-farsuda-e-ashiq
us ku mein zamin-gir hai giw ab tu hawa ho
gar charKH pe jawe to shafaq howe mera KHun
war KHak mein pinhan ho to wan rang-e-hina ho
hai subh se kuchh aaj mere dil ko bashashat
us kuche se qasid to na KHat le ke chala ho
kya daur hai gar ruh meri baad-e-fana bhi
phirti rahe kuche mein tere baad-e-saba ho
parda main uThata nahin zinhaar kisi ka
is Dar se kahin tu hi na parde mein chhupa ho
hai aaine mein aks tera teri hi surat
tu us pe fida aur wo tere pe fida ho
chalte hi tere baam pe aaya hai wo kafir
kyun itne qadam jald uThata hai khaDa ho
ai 'mushafi' us kuche se tu sar ko jhukae
kya jawe hai kam-baKHt zara ru-ba-qafa ho
Ghazal
Kya daKHl kisi se maraz-e-ishq shifa ho
Mushafi Ghulam Hamdani