kya dastan thi pahle bayan hi nahin hui
phir yun hua ki subh azan hi nahin hui
duniya ki dashta se zyaada na thi mujhe
yun sari umr fikr-e-ziyan hi nahin hui
gul-ha-e-lutf ka use ambar karna tha
kam-baKHt aarzu ki jawan hi nahin hui
ta-subh meri lash rahi be-kafan to kya
banu-e-sham nauha-kunan hi nahin hui
Ghazal
Kya dastan thi pahle bayan hi nahin hui
Siraj Ajmali