اردو हिंदी
Kya chiz hai ye sai-e-paiham kya jazba-e-kaamil hota hai | Shaahi Shayari
kya chiz hai ye sai-e-paiham kya jazba-e-kaamil hota hai

Ghazal

Kya chiz hai ye sai-e-paiham kya jazba-e-kaamil hota hai

Shakeb Jalali

;

kya chiz hai ye sai-e-paiham kya jazba-e-kaamil hota hai
allah ko agar manzur na ho har maqsad baatil hota hai

ek Tis si paiham pata hun kya is ko mohabbat kahte hain
mahsus mujhe miTha miTha kuchh dard sa ai dil hota hai

taskin ko dhoka dete hain nakaam tamanna ye kah kar
har-gam pe manzil hoti hai har mauj mein sahil hota hai

ye ranj-o-alam hi mere liye ab zist ka unwan hain hamdam
is duniya mein pahle pahle har kaam hi mushkil hota hai

taskin si kyun mil jati hai mizrab-e-dast-e-shauq mujhe
har tar-e-gareban kya wahshat ke saz ka hamil hota hai