kya chamke ab faqat meri nale ki shaeri
is ahd mein hai tegh ki bhaale ki shaeri
saman sab tarah ka ho laDne ka jin ke pas
hai aaj kal unhin ki masale ki shaeri
shaer risala-dar na dekhe na main sune
ijad hai unhen ka risale ki shaeri
mard-e-galim-posh ko yan puchhta hai kaun
gar garm hai to shaal doshaale ki shaeri
ye sher garm garm paDhe jate yun nahin
munh bolti hai garm niwale ki shaeri
naKHra bhi sher mein ho to han 'soz' ka sa ho
kis kaam ki wagarna chhinale ki shaeri
diwan jin ke kafsh se afzun nahin zara
karte hain kya wo log kasale ki shaeri
chune ke kaghazon pe jhaDen hain jo apne sher
yani ki aa rahi hai diwale ki shaeri
kaisa hi baDh chale wo kalam-e-sharif par
sarsabz ho kabhi na rizale ki shaeri
bazon ne tab to sher pe 'hasrat' ke yun kaha
kya dal-muTh bechne wale ki shaeri
hun 'mushafi' main tajir-e-mulk-e-suKHan ki hai
'KHusro' ki tarah yan bhi aTale ki shaeri
Ghazal
Kya chamke ab faqat meri nale ki shaeri
Mushafi Ghulam Hamdani