kya chaha tha kya socha tha kya guzri kya baat hui
dil bhi TuTa ghar bhi chhuTa ruswai bhi sath hui
wo kya jaane us se bichhaD ke hum par kya kya guzri hai
sahra jaisa din ka aalam parbat jaisi raat hui
us ke KHat ko kaise paDhun main sare lafz to bhige hain
meri chhat par baadal chhae us ke ghar barsat hui
yun khoe hum yaad mein us ki goya KHud ko bhul gae
kisi KHabar hai kab din nikla kise pata kab raat hui
dil ke pyase aangan mein kal yaad ke baadal yun aae
der talak ye tan-man bhiga be-mausam barsat hui
Ghazal
Kya chaha tha kya socha tha kya guzri kya baat hui
Devmani pandey