اردو हिंदी
Kya bichhaD kar rah gaya jaane bhari barsat mein | Shaahi Shayari
kya bichhaD kar rah gaya jaane bhari barsat mein

Ghazal

Kya bichhaD kar rah gaya jaane bhari barsat mein

Basheer Munzir

;

kya bichhaD kar rah gaya jaane bhari barsat mein
ek koyal kukti hai aam ke baghat mein

soch mein gum faKHta baiThi hui hai shaKH par
baz hai upar to niche ek shikari ghat mein

waqt ke panchhi ko uDna tha bil-aKHir uD gaya
aaDi-tirchhi kuchh lakiren hain faqat ab hath mein

koi jita hai jiye gar koi marta hai mare
aaj ke insan ko dilchaspi hai apni zat mein

ek talluq ek mohabbat hai mujhe is shahr se
mere bachpan ka baDa hissa kaTa gujraat mein

jal rahi thi raat meri tap raha tha mera din
kya jiye manzar koi aise kaThin haalat mein