kya bhala shaiKH-ji the dair mein thoDe patthar
ki chale kaba ke tum dekhne roDe patthar
ai basa kohna imaraat-e-maqabir jin ke
logon ne chob-o-chagal ke liye toDe patthar
jao ai shaiKH o barahman haram-o-dair ko tum
bhai bezar hain hum hum ne ye chhoDe patthar
kabhi dil-ha-e-butan tujh se pasijen ai ashk
to ye hum jaanen ki bas tu ne nichoDe patthar
na chire nok se nashtar ke ayazam-billah
koi ushshaq ke the chhati ke phoDe patthar
kos baiThen fuqara ahl-e-duwal ko to abhi
un ke hathi hon pahaD aur ye ghoDe patthar
gar sag-e-gursina le shum ke matbaKH ki bas
to bhala haDDi ki ja kya wo bhanboDe patthar
na hinsa main jo hansane se shab un ki to kaha
tujhe qurban karun hae nigoDe patthar
ek ghazal aur suna de hamein 'insha' har-chand
tu ne is mein bhi kisi Dhab ke na chhoDe patthar
Ghazal
Kya bhala shaiKH-ji the dair mein thoDe patthar
Insha Allah Khan u0027Inshau0027