اردو हिंदी
Kya bhala mujhko parakhne ka natija nikla | Shaahi Shayari
kya bhala mujhko parakhne ka natija nikla

Ghazal

Kya bhala mujhko parakhne ka natija nikla

Muzaffar Warsi

;

kya bhala mujh ko parakhne ka natija nikla
zaKHm-e-dil aap ki nazron se bhi gahra nikla

tishnagi jam gai patthar ki tarah honTon par
Dub kar bhi tere dariya se main pyasa nikla

jab kabhi tujh ko pukara meri tanhai ne
bu uDi phul se taswir se saya nikla

koi milta hai to ab apna pata puchhta hun
main teri khoj mein tujh se bhi pare ja nikla

mujh se chhupta hi raha tu mujhe aankhen de kar
main hi parda tha uTha main to tamasha nikla

toD kar dekh liya aaina-e-dil tu ne
teri surat ke siwa aur bata kya nikla

nazar aaya tha sar-e-baam 'muzaffar' koi
pahuncha diwar ke nazdik to saya nikla