kya bataun zindagi mein kis qadar tanha raha
qafilon ke sath rah kar bhi safar tanha raha
ab kisi se dosti hoti nahin hai is liye
doston ko aazma kar waqt par tanha raha
ya-KHuda patthar bana dil ke mere ehsas ko
aaine ki shakl mein to umr-bhar tanha raha
do dilon ke pyar ka anjam kuchh aisa hua
haar kar main KHush raha wo jit kar tanha raha
'dew' un ke ruThne se raat guzri is tarah
nind un ko bhi na aai main agar tanha raha
Ghazal
Kya bataun zindagi mein kis qadar tanha raha
Devesh Dixit