اردو हिंदी
Kya bataun mujhe kya lagta hai | Shaahi Shayari
kya bataun mujhe kya lagta hai

Ghazal

Kya bataun mujhe kya lagta hai

Jarrar Chhaulisi

;

kya bataun mujhe kya lagta hai
har-nafas tir-e-jafa lagta hai

hun wo KHuddar kisi se kya kahun
sans lena bhi bura lagta hai

phalte dekhi hai kahin shaKH-e-sitam
mere kahne ka bura lagta hai

hadse bhi hain baDe kaam ki chiz
dost dushman ka pata lagta hai

mera sar to kahin jhukta hi nahin
tera naqsh-e-kaf-e-pa lagta hai

kya kahun haalat-e-dil ai 'jarrar'
dard kuchh aur siwa lagta hai