kya bataun ki hai kis zulf ka sauda mujh ko
dud-e-har-shama gareban nazar aaya mujh ko
chand jo ubhra shab-e-gham mere dil mein Duba
bhigti raat ne kuchh aur jalaya mujh ko
hae kya kya mujhe betab rakha hai us ne
yaad karne pe bhi jo yaad na aaya mujh ko
ab to sanson ke tamawwuj se bhi ji Darta hai
zindagi tu ne ye kis ghaT utara mujh ko
the meri pusht pe aqdar ke Dhalte suraj
ban gaya rah-numa apna hi saya mujh ko
rah be-samt hai uftad hai manzil apni
KHak-e-sahra hun uData hai bagula mujh ko
pahle diwar uThai thi ki KHud ko dekhun
ab yahan koi nahin dekhne wala mujh ko
le uDi mujh ko mere zehn ki KHushbu tausif
tu ne kya soch ke zanjir kiya tha mujh ko

Ghazal
Kya bataun ki hai kis zulf ka sauda mujhko
Tauseef Tabassum