kya bataun dil kahan hai aur kis ja dard hai
main sarapa dil hun dil mera sarapa dard hai
ye samajh len pahle aap ai hazrat-e-isa zara
kis ke dil mein dard hai ye aur kis ka dard hai
jo chala duniya se wo rakkhe hue sine pe hath
main samajhta hun ki sab ke dil mein tera dard hai
mere chup rahne se to ghafil hai o zahir-parast
zarf bhi utna hi main rakhta hun jitna dard hai
har taDap par qalib-e-murda mein aa jati hai ruh
mujh mariz-e-na-tawan ki jaan goya dard hai
bach gae to intiha-e-ishq mein lutf aaega
aur abhi to ibtida mein intiha ka dard hai
apna apna haal kah lene do 'natiq' sab ko tum
jaanta hai wo ki kis ke dil mein kitna dard hai
Ghazal
Kya bataun dil kahan hai aur kis ja dard hai
Natiq Lakhnavi