kya bataen fasl-e-be-KHwabi yahan bota hai kaun
jab dar-o-diwar jalte hon to phir hota hai kaun
tum to kahte the ki sab qaidi rihai pa gae
phir pas-e-diwar-e-zindan raat-bhar rota hai kaun
bas teri bechaargi hum se nahin dekhi gai
warna hath aai hui daulat ko yun khota hai kaun
kaun ye patal se le kar ubharta hai mujhe
itni tahdari se mujh par munkashif hota hai kaun
koi be-tartibi-e-kirdar ki had hai 'salim'
dastan kis ki hai zeb-e-dastan hota hai kaun

Ghazal
Kya bataen fasl-e-be-KHwabi yahan bota hai kaun
Saleem Kausar