اردو हिंदी
Kya bataen aap se kya hasti-e-insan hai | Shaahi Shayari
kya bataen aap se kya hasti-e-insan hai

Ghazal

Kya bataen aap se kya hasti-e-insan hai

Gyan Chand

;

kya bataen aap se kya hasti-e-insan hai
aadmi jazbaat o ehsasat ka tufan hai

ishtirakiyyat mera din aur mera iman hai
kash motor le sakun main ye mera arman hai

aah us danish-kade mein kis qadar hai qaht-e-husn
jab se aaya hun yahan bazm-e-nazar viran hai

ye kitaben har taraf hon ya butan-e-muntaKHab
barguzida hastiyon ka ek hi arman hai

fikr ki duniya mein columbus bana phirta hun main
ilm ki pahnai ka kitna baDa faizan hai

aaj america mein kal london mein parson rus mein
aadmi ki sar-bulandi ki yahi pahchan hai

is qadar khae hain yaron ke bichhaD jaane ke dagh
dil nahin ab ek KHakistar-shuda shamshan hai

jaise jaise baDh raha hai mera ohda doston
waise waise ruh meri aur bhi viran hai

laDkhaData Thokaren khata kidhar jata hun main
hai andhera ghup faza aur dil mera sunsan hai