kya bataen aap se kya hasti-e-insan hai
aadmi jazbaat-o-ehsasat ka tufan hai
ishtirakiyyat mera din aur mera iman hai
kash motor le sakun main ye mera arman hai
aah is danish-kade mein kis qadar hai qaht-e-husn
jab se aaya hun yahan bazm-e-nazar viran hai
ye kitaben har taraf hon ya butan-e-muntaKHab
barguzida hastiyon ka ek hi arman hai
fikr ki duniya mein columbus bana phirta hun main
ilm ki pahnai ka kitna baDa faizan hai
aaj america mein kal london mein parson rus mein
aadmi ki sar-bulandi ki yahi pahchan hai
is qadar khae hain yaron ke bichhaD jaane ke dagh
dil nahin ab ek KHakistar-shuda shamshan hai
jaise jaise baDh raha hai mera ohda doston
waise waise ruh meri aur bhi viran hai
laDkhaData Thokaren khata kidhar jata hun main
hai andhera ghup faza aur dil-e-sunsan hai
Ghazal
Kya bataen aap se kya hasti-e-insan hai
Gyan Chand