kya bala sehr hain sajan ke nayan
hai KHajil jis ange hiran ke nayan
mujh pe karte hain yar ka jadu
us sitamgar-e-sehr-e-fan ke nayan
gardish-e-mai sun aaj farigh hai
jin ne dekhe hain KHush-nayan ke nayan
aarzu mein teri ai nur-e-nazar
muntazir hun khule hain man ke nayan
shor Dale hain sare aalam mein
dilbar-e-shakkarin-suKHan ke nayan
gul-e-nargis agar nahin dekha
dekh yakbar gul-badan ke nayan
kyun na hue hijr be-KHabar sun 'siraj'
hosh khote hain man hiran ke nain
Ghazal
Kya bala sehr hain sajan ke nayan
Siraj Aurangabadi