kya bala ka hai nasha ishq ke paimane mein
koi hoshiyar nahin aql ke kashane mein
Dub jata hai mera ji jo kahun qissa-e-dard
nind aati hai mujhi kun mere afsane mein
dil mera zulf ki zanjir sin hai bazi mein
apne is kaam ka kya hosh hai diwane mein
kya maze ka hai tere seb-e-zanaKHdan ka KHal
lazzat-e-mewa-e-firdaus hai is dane mein
is adab-gah kun tun masjid jama mat bojh
shaiKH be-bak na ja gosha-e-mai-KHane mein
aankh uThate hi mere hath sin mujh kun le gae
KHub ustad ho tum jaan ke le jaane mein
KHush hun main sohbat-e-majnun sin na liyo aql ka nam
aashnai ki kahan bas hai begane mein
shoala hai aab-e-hayat-e-dil-e-mushtaq 'siraj'
is samundar sin baDa farq hai parwane mein
Ghazal
Kya bala ka hai nasha ishq ke paimane mein
Siraj Aurangabadi