kya baiTh jaen aan ke nazdik aap ke
bas raat kaTni hai hamein aag tap ke
kahiye to aap ko bhi pahan kar main dekh lun
mashuq yun to hain hi nahin meri nap ke
bajti hain shahr shahr mere dil ki dhaDkanen
charche hain dur dur usi Dholak ki thap ke
ek raat aap jism-e-KHuda ban ke aaiye
aur hum gunahgar hon pahlu mein aap ke
'ehsas-ji' pe aisa chaDha aashiqi ka rang
sab dagh miT gae hain tilak aur chhap ke
Ghazal
Kya baiTh jaen aan ke nazdik aap ke
Farhat Ehsas