kya baat thi ki us ko sanwarne nahin diya
aaina hath mein tha nikharne nahin diya
tufan mein phanse to kinare tak aa gae
sahil ne un ko phir bhi ubharne nahin diya
is daur-e-pur-fitan mein saliqe se TuT kar
TuTe to roz hi pe bikharne nahin diya
hum ne amir-e-shahr ko sajda nahin kiya
KHuddari-e-mizaj ne girne nahin diya
radd-o-qadah ke baad 'wasiya' ne aaj bhi
mear se ghazal ko utarne nahin diya
Ghazal
Kya baat thi ki usko sanwarne nahin diya
Fatima wasia Jayasi