kya baat thi ki jo bhi suna an-suna hua
dil ke nagar mein shor tha kaisa macha hua
tum chhup gae the jism ki diwar se pare
ek shaKHs phir raha tha tumhein DhunDta hua
ek saya kal mila tha tere ghar ke aas-pas
hairan khoya khoya sa kuchh sochta hua
shayad hawa-e-taza kabhi aae is taraf
rakkha hai main ne ghar ka daricha khula hua
bhaTka hua KHayal hun wadi mein zehn ki
alfaz ke nagar ka pata puchhta hua
chaha tha main ne jab bhi hadon ko phalangna
dekha tha aage aage ufuq dauDta hua
chhiTki hui thi chandni yaadon ki shab ko 'raaz'
aangan mere KHayal ka tha chaunkta hua
Ghazal
Kya baat thi ki jo bhi suna an-suna hua
Raj Narayan Raaz