اردو हिंदी
Kya ajab fart-e-KHushi se hai jo giryan aadmi | Shaahi Shayari
kya ajab fart-e-KHushi se hai jo giryan aadmi

Ghazal

Kya ajab fart-e-KHushi se hai jo giryan aadmi

Junaid Hazin Lari

;

kya ajab fart-e-KHushi se hai jo giryan aadmi
kasrat-e-gham mein nazar aata hai KHandan aadmi

qatra-e-be-maya lekin bahr-e-na-paida-kanar
zarra-e-nachiz wusat mein bayaban aadmi

pur-sukun haalat mein KHamosh sahil ki tarah
shorish-e-jazbaat mein manind-e-tufan aadmi

is ki wahshat ka mudawa kar nahin sakta koi
KHud agar chahe to ban sakta hai insan aadmi

aadamiyat agle waqton mein thi ek anmol shai
aaj ke haalat mein hai jins-e-arzan aadmi

zindagi ki saKHt rahon ka safar darpesh hai
karwan-dar-karwan hai pa-ba-jaulan aadmi

apne zaKHmon ka mudawa ghair mumkin to nahin
ai 'hazin' sare dukhon ka KHud hai darman aadmi