اردو हिंदी
Kya ahd-e-nau mein apni pahchan dekhta hun | Shaahi Shayari
kya ahd-e-nau mein apni pahchan dekhta hun

Ghazal

Kya ahd-e-nau mein apni pahchan dekhta hun

Quaiser Khalid

;

kya ahd-e-nau mein apni pahchan dekhta hun
akasr ba-shakl-e-insan haiwan dekhta hun

KHwabon ko, justuju ko, rakhna abhi safar mein
kuchh dur chal ke rahen aasan dekhta hun

raftar-e-waqt tu ne pai hai kaisi ujlat
jazbon mein asr-e-nau ke haijaan dekhta hun

aai hai KHak-e-hasti uTh kar kahan se apni
KHwabon mein kuchh jazire anjaan dekhta hun

amn-o-aman ki baaten shayad hain sirf baaten
arz-e-KHuda pe har din ghamsan dekhta hun

jab justuju na manzil aur KHwab hain na arman
phir kis liye safar ka saman dekhta hun

tabdil ho gai hain aqdar-e-kohna yun bhi
ye kaenat sari hairan dekhta hun

meri nigah aaKHir hassas kyun hai utni
main roz-o-shab badalte insan dekhta hun

deti hai jab bhi fursat kuchh gardish-e-zamana
rishton mein apni baqi pahchan dekhta hun

guzre the jis mein lamha bachpan ke qahqahon mein
KHwabon mein wo haweli viran dekhta hun