اردو हिंदी
Kya adu kya dost sab ko bha gain ruswaiyan | Shaahi Shayari
kya adu kya dost sab ko bha gain ruswaiyan

Ghazal

Kya adu kya dost sab ko bha gain ruswaiyan

Farigh Bukhari

;

kya adu kya dost sab ko bha gain ruswaiyan
kaun aa kar napta ehsas ki pahnaiyan

ab kisi mausam ki be-rahmi ka koi gham nahin
hum ne aankhon mein sajai hain teri angDaiyan

aap kya aae bahaaron ke dariche khul gae
KHushbuon mein bas gain tarsi hui tanhaiyan

chand ban kar kaun utra hai qaba-e-jism mein
jag uTThi hain KHayal-o-fikr ki gahraiyan

dil pe hai chhaya hua bedar KHwabon ka tilism
zehn ke aangan mein lahraati hain kuchh parchhaiyan

aaj 'farigh' ujDe ujDe se hain 'ghaalib' ki tarah
yaad thin hum ko bhi ranga-rang bazm-araiyan