kya ada kiya naz hai kya aan hai
yan pari ka husn bhi hairan hai
hur bhi dekhe to ho jawe fida
aaj is aalam ka wo insan hai
us ke rang-e-sabz ki hai chin mein dhum
kyun na ho aaKHir ko hindostan hai
jaan-o-dil hum nazr ko lae hain aaj
lijiye ye dil hai aur ye jaan hai
dil bhi hai dil se tasadduq aap par
jaan bhi ji-jaan se qurban hai
dil kahan pahlu mein jo hum den tumhein
ye to ghar ek umr se viran hai
aql o hosh o sabr sab jate rahe
han magar ik-adh mui si jaan hai
wo bhi gar leni hon to le jaiye
KHair ye bhi aap ka ehsan hai
aan kar mil tu 'nazir' apne se jaan
ab wo koi aan ka mehman hai
Ghazal
Kya ada kiya naz hai kya aan hai
Nazeer Akbarabadi