kuza-gar ke ghar ummiden aai hain
miTTi ke putle mein sansen aai hain
ghabra kar bistar se uTh baiTha hun main
nind mein phir KHwabon ki lashen aai hain
kis ne dastak di hai meri palkon par
aankhon ki dahliz pe yaaden aai hain
KHwab mein us ko rote dekh liya tha bas
man mein jaane kya kya baaten aai hain
aankhen surKH dikhin to main ne puchh liya
us ka wahi bahana aankhen aai hain
ek takiye pe main aur meri tanhai
aisi jaane kitni raaten aai hain
rishton ka aaina kab ka TuT chuka
'mit' ke hisse kewal kirchen aai hain
Ghazal
Kuza-gar ke ghar ummiden aai hain
Amit Sharma Meet