kufe ke qarib ho gaya hai
lahore ajib ho gaya hai
har dost hai mere KHun ka pyasa
har dost raqib ho gaya hai
har aankh ki zulmaton se yari
har zehn muhib ho gaya hai
kya hansta hansata shahr yaro
hasid ka nasib ho gaya hai
phaila tha masih-e-waqt ban kar
simTa to salib ho gaya hai
kaghaz pe ugal raha hai nafrat
kam-zarf adib ho gaya hai
is shahr ke dil nahin hai 'zulfi'
ye shahr gharib ho gaya hai
Ghazal
Kufe ke qarib ho gaya hai
Saif Zulfi