اردو हिंदी
Kucha-e-dilbar mein main bulbul chaman mein mast hai | Shaahi Shayari
kucha-e-dilbar mein main bulbul chaman mein mast hai

Ghazal

Kucha-e-dilbar mein main bulbul chaman mein mast hai

Haidar Ali Aatish

;

kucha-e-dilbar mein main bulbul chaman mein mast hai
har koi yan apne apne pairahan mein mast hai

nashsha-e-daulat se munim pairahan mein mast hai
mard-e-muflis haalat-e-ranj-o-mehan mein mast hai

daur-e-gardun hai KHudawanda ki ye daur-e-sharab
dekhta hun jis ko main us anjuman mein mast hai

aaj tak dekha nahin in aankhon ne ru-e-KHumar
kaun mujh sa gumbad-e-charKH-e-kuhan mein mast hai

gardish-e-chashm-e-ghazalan gardish-e-saghar hai yan
KHush rahen ahl-e-watan diwana-pan mein mast hai

hai jo hairan-e-safae-ruKH halab mein aaina
bu-e-zulf-e-yar se aahu KHutan mein mast hai

ghafil o hoshyar hain us chashm-e-mai-gun ke KHarab
zinda zer-e-pairahan murda kafan mein mast hai

ek saghar do jahan ke gham ko karna hai ghalat
ai KHusha-tale jo shaiKH-o-barhaman mein mast hai

wahshat-e-majnun-o-'atish' mein hai bas itna hi farq
koi ban mein mast hai koi watan mein mast hai