ku-e-ruswai se uTh kar dar tak tanha gaya
mujh se jite-ji na daman KHwab ka chhoDa gaya
kya bisat-e-KHar-o-KHas thi phir bhi yun shab-bhar jale
dosh par baad-e-sahar ke dur tak shoala gaya
ruh ka lamba safar hai ek bhi insan ka qurb
main chala barson to un tak jism ka saya gaya
kis ko be-gard-e-masafat shauq ki manzil mili
naghma-gar ki KHalwaton tak bar-ha naghma gaya
kaun mujh ko DhunDhta tha kuchh pata chalta nahin
bazm-e-KHuban mein hazaron bar main aaya gaya
hum wo shaer ki sunate hain surud-e-jaan 'hasan'
ek bhi shoala-nafas mahfil mein gar dekha gaya
mil gae jab nira-dishwar dasht-e-ghurbat mein 'naim'
ek naya rishta azimabaad se joDa gaya
Ghazal
Ku-ruswai se uTh kar dar tak tanha gaya
Hasan Nayeem