اردو हिंदी
Ku-e-jaanan mein nahin koi guzar ki surat | Shaahi Shayari
ku-e-jaanan mein nahin koi guzar ki surat

Ghazal

Ku-e-jaanan mein nahin koi guzar ki surat

Heera Lal Falak Dehlvi

;

ku-e-jaanan mein nahin koi guzar ki surat
dil uDa phirta hai TuTe hue par ki surat

hum to manzil ke talabgar the lekin manzil
aage baDhti hi gai rahguzar ki surat

wo rahen samne mere to tasalli warna
dil bhi kambaKHt bhaTakta hai nazar ki surat

ruh afsurda pareshan KHayalat mein gum
aisi pahle kabhi dekhi thi bashar ki surat

meri qismat mein mohabbat ne yahi likkha hai
dard bhi dil mein rahe zaKHm-e-jigar ki surat

baiTh jaen kisi goshe mein simaT kar ai dost
kaun gardish mein rahe shams-o-qamar ki surat

wo gae ghar se to phir hum ne bhi ghar ko chhoDa
hum se dekhi gai diwar na dar ki surat

chand aansu hi mere dil pe 'falak' gir jaen
aatish-e-gham se sulagta hai sharar ki surat