ku-e-jaanan mein ada dekhiye diwanon ki
dhajjiyan banTte phirte hain garebanon ki
KHak uDti hai faza mein yunhi parwanon ki
kaun leta hai KHabar soKHta-samanon ki
husn kya shai hai faqat zauq-e-nazar ki taskin
ishq kya chiz hai taKHliq hai armanon ki
aap ruKH sail-e-hawadis ka badal deta hai
aasman dekh ke gardish mere paimanon ki
aks gulshan pe bahaaron ka paDa tha lekin
khinch gai phul pe taswir bayabanon ki
aaj sahil pe pahunch kar hi rahegi kashti
aaj Takkar hai mere azm se tufanon ki
hashr ke din wo KHata-waron pe rahmat hogi
aankh khul jaegi jannat ke nigahbanon ki
ibn-e-adam ne 'falak' hosh sambhaala jis dam
sab se pahle rakhi buniyaad sanam-KHanon ki
Ghazal
Ku-e-jaanan mein ada dekhiye diwanon ki
Heera Lal Falak Dehlvi