ku-e-haram se nikli hai ku-e-butan ki rah
hae kahan pe aa ke mili hai kahan ki rah
sad-asman-ba-daman-o-sad-kahkashan-ba-dosh
baam-e-buland-e-yar tere aastan ki rah
mulk-e-adam mein qafila-e-umr ja basa
hum dekhte hi rah gae us bad-guman ki rah
luTta raha hai zauq-e-nazar gam gam par
ab kya raha hai pas jo hum len wahan ki rah
ai zulf KHam-ba-KHam tujhe apna hi wasta
hamwar hone pae na umr-e-rawan ki rah
gul-ha-e-rang rang hain afkar-e-nau-ba-nau
ye rahguzar-e-sher hai kis gulsitan ki rah
'tahir' ye manzilen ye maqamat ye haram
allah re ye rah ye ku-e-butan ki rah

Ghazal
Ku-e-haram se nikli hai ku-e-butan ki rah
Jafar Tahir