ku-ba-ku hota nahin ya dar-ba-dar hota nahin
KHun-e-nahaq kis taraf sham-o-sahar hota nahin
har shajar ai dida-e-tar barwar hota nahin
har sadaf ki god mein jaise guhar hota nahin
sunte aae hain ki shar ka badla shar hota nahin
aaj-kal ke daur mein aisa magar hota nahin
hai mera hona na hona us parinde ki tarah
ek par hota hai jis ka ek par hota nahin
tere diwane ko dekha hai hamesha sar-ba-kaf
tere diwane ka dil hota hai sar hota nahin
aaj-kal kya kuchh nahin hota KHuda ke nam par
aaj-kal kya kuchh KHuda ke nam par hota nahin
mohtaram qanun-sazo ye bhi kya qanun hai
ek bhi qanun aaed aap par hota nahin
Ghazal
Ku-ba-ku hota nahin ya dar-ba-dar hota nahin
Pundit Amar Nath Hoshiyarpuri