kuTiya mein kaun aaega is tirgi ke sath
ab ye kiwaD band karo KHamushi ke sath
saya hai kam khajur ke unche daraKHt ka
ummid bandhiye na baDe aadmi ke sath
chalte hain bach ke shaiKH o barhaman ke sae se
apna yahi amal hai bure aadmi ke sath
shaistagan-e-shahr mujhe KHwah kuchh kahen
saDkon ka husn hai meri aawargi ke sath
shair hikayaten na suna wasl o ishq ki
itna baDa mazaq na kar shairi ke sath
likhta hai gham ki baat masarrat ke mood mein
maKHsus hai ye tarz faqat 'kaif' hi ke sath
Ghazal
KuTiya mein kaun aaega is tirgi ke sath
Kaif Bhopali