kursi-e-dil pe tere jate hi dard aa baiThe
jaise aaina-e-be-kar pe gard aa baiThe
pahli manzil pe hi Takra ke gire duniya se
panw tuDwa ke tamam ahl-e-naward aa baiThe
dawat-e-did jo us qamat-e-rangin ki mili
bazm mein hum bhi liye ye ruKH-e-zard aa baiThe
aurten kaam pe nikli thin badan ghar rakh kar
jism KHali jo nazar aae to mard aa baiThe
shahr ek samt se jangal sa nazar aane laga
shahr ke dil mein bhi kya dasht-naward aa baiThe
'farhat-ehsas' ki tazim mein uTTha tha samaj
aur wo us ki jagah surat-e-fard aa baiThe
Ghazal
Kursi-e-dil pe tere jate hi dard aa baiThe
Farhat Ehsas