kunj-e-qafas se pahle ghar apna kahan na tha
aae yahan to hausla-e-ashiyan na tha
tujh ko samajh ke KHwab mein pahuncha main jis jagah
dekha jo aankh khol ke to kuchh wahan na tha
ek ek qadam pe ab to qayamat ki dhum hai
aage to ye chalan kabhi ai jaan-e-jaan na tha
Thahri jo wasl ki to hui subh sham se
but mehrban hue to KHuda mehrban na tha
kyunkar qasam pe aaj mujhe e'tibar aae
kis din KHuda tumhaare mere darmiyan na tha
toDa jo phul bulbul-e-shaida ke samne
kya tere dil mein dard kuchh ai baghban na tha
Ghazal
Kunj-e-qafas se pahle ghar apna kahan na tha
Lala Madhav Ram Jauhar