اردو हिंदी
Kunj-e-izzat se uTho subh-e-bahaaran dekho | Shaahi Shayari
kunj-e-izzat se uTho subh-e-bahaaran dekho

Ghazal

Kunj-e-izzat se uTho subh-e-bahaaran dekho

Razi Tirmizi

;

kunj-e-izzat se uTho subh-e-bahaaran dekho
dosto naghmagaro raqs-e-ghazalan dekho

miT gaya rah-guzaron se har ek naqsh-e-KHizan
waraq-e-gul pe likhe ab nae unwan dekho

mutriban bahr-e-qadam-bosi-e-shirin-suKHanan
mahfil-e-gul mein chalo jashn-e-bahaaran dekho

muzhda phir KHak-e-KHizan-rang ki qismat jagi
aa gaya jhum ke abr-e-guhar-afshan dekho

ham-nawa ho ke mere tum bhi ghazal-KHwan ho jao
jo lab-e-ju-e-rawan sarw-KHiraman dekho

ye julus-e-gul-o-raihan hai kahan nara-zanan
uTh ke darwaze se bahar to meri jaan dekho