kunen jo pani ki bin pyas chah rakhte hain
magar nahang bhi dariya ki thah rakhte hain
shahadat apni gawahi pe ab bhi hai shahid
shahid wo hain jo haq ko gawah rakhte hain
ye jaan lijiye pahchan donon ki hai yahi
jo taj raja to kashkol shah rakhte hain
wo KHak dhul chaTaenge apne dushman ko
jo dil na qalb-e-amir-e-sipah rakhte hain
hain dang apni hi dahshat ke Dar se dahshat-gard
ye kale nag hain dil bhi siyah rakhte hain
jo log achchhe hain rakhte hain Thik ghar ko wahi
KHarab log to ghar ko tabah rakhte hain
hamari un ki siyasat ka rang KHub hai wah
ki hum imam to wo sarbarah rakhte hain
jo andhe aankhon ke hain aur nain mujh ko hai nam
wo kor-chashm bhi hum par nigah rakhte hain
bana ke qasr-e-wafa sher bola haidar ka
kaTa ke hath bhi hum dast-gah rakhte hain
'waqar-hilm' ali walon se KHuda ki qasam
pul-siraat ke raste bhi rah rakhte hain
Ghazal
Kunen jo pani ki bin pyas chah rakhte hain
Waqar Hilm Syed Naglavi